Friday, July 29, 2011

Mat poochh uske pyar karne ka andaaz kaisa tha

Usne din raat mujhko sataya itna..
ki nafrat bhi ho gayi aur muhabbat bhi ho gayi..

Usne is nazakat se hontho ko chooma ki
roza bhi na toota aur aftaari bhi ho gayi...

Usne is tarah mujhse muhabbat ki
ki gunah bhi na hua aur ibaadat bhi ho gayi

Mat poochh uske pyar karne ka andaaz kaisa tha
Is shiddat se usne lagaya seene se,
ki maut bhi na aayi aur jannat bhi naseeb ho gayi..

No comments:

Post a Comment